SAYYADA FATIMA ZEHRA O BATOOL E AZRA
RAB KE HONE KI ZAMANAT HAI MUSALLA TERA
KOI TAFSEER SE LIKHE JO TERI AZMAT KO
KAM SE KAM QUR'AAN HO
MUKHTASIR LIKHE TO KAUSAR HAI QASEEDA TERA
NISF IMAN KI HOTI HAI MUHAFIZ ZAWJA
ISSE SABIT YE HUWA
KULLE IMAAN KA IMAN HAI AADHA TERA
AB SAMAJH AAYA KE JIBREEL KYUN AAGE NA BADHE
TAAKE DUNIYA SAMJHE
SARHAD E SIDRA SE AAGE HAI ILAAQA TERA
TUNE DOZAKH SE BACHANA HAI GUNEHGARO KO
HUM AZADARO KO
NAAM ALLAH NE YUN FATEMA RAKHA TERA
NOOR HAI AAYA E TATHEER KA MAFHOOM HAI WOH
SACH HAI MASUM HAI WOH
TUNE JAB KEH DIYA ABBAS HAI BETA TERA
TERI FIZZA KO ABHI TAK NAHI SAMJHA KOI
AI MERI SHAHZADI
KAISE DUNIYA KO SAMAJH AAYEGA RUTBA TERA
TAB KAHIN JAAKE ANDHERO ME UJALE UTRE
CHAAND SURAJ CHAMKE
JAB UTARA GAYA AFLAAK PE SADQA TERA