Anjuman E Sakina



AAJ TAK BHI JO TILAAWAT KA MAZAA BAAQI HAI
ASR-E HAAZIR MEI BHI EK NUQTA-E BAA BAAQI HAI

SHAAM WAALE HAI NA MIMBAR SE JAFAA BAAQI HAI
MERE MAULA KI MAGAR MAD-HO SANAA BAAQI HAI

YAA ALI AAP KE AANE KI HAI KAABE KO KHUSHI
AB BHI DIWAAR KE HANSNE KI ADAA BAAQI HAI

DUSHMANI HAIDARE QARRAAR SE KARNE WAALON
SONCH LO AAJ ZARAA ROZE JAZAA BAAQI HAI

PUCHHNE WAALE SAWAA LAAKHSE SUN GHOR SE SUN
AB BHI DUNIYA MEN SALOONI KI SADAA BAAQI HAI

KITNE QURAN PADHA PEHLE BATA AI QAARI
KISKI SUNNAT HAI YEH JISPAR TUN BATAA BAAQI HAI

BAA-E BISMILLAH KE NUQTE KO ALAG KAR LIJE
PHIR ZARAA DEKHIYE QURAN MEN KYA BAAQI HAI

YAA ALI KEHKE ZARAA GHOR SE CHEHRON KO PADHO
AISA LAGTA HAI KE CHEHRON PA NASAB LIKHA HAI