MARHABAA SHERE ALI MARHABAA SHERE ALI
APNE BAABAA KI TARHAA TU HAI SHUJAA-AT KAA DHANI
MARHABAA SHERE ALI MARHABAA SHERE ALI
RANME JIS DAM ABU TAALIB KAA SIPAAHI AAYAA
SHOR UTHHAA ASADE SHERE ILAAHI AAYAA
EHLE BAATIL KE LIYE BANKE TABAAHI AAYAA
SUN KE YE FOUJE SITAMGAR ME HAI HALCHAL SI MACHI
KHUSK SEHRAAOn KE DAAMAN ME LAHU - AT JAATE
LAASH KE DHER SE MAIDAAN - NE VIGHAA PHAT JAATE
AATE JIBRIL TO JIBRIL KE PAR KAT JAATE
KHAIR GUZRI JO NA RAN MEN TERI TALWAAR CHALI
SUBHO SAADIQ JO HUWI SHAAM KE LASHKAR BHAAGE
SHER KE WAAR SE GHABRAAKE SITAMGAR BHAAGE
JIN KE SAR KAT GAYE WOh TAN KO BACHAAKAR BHAAGE
MOUT BHI DEKH KE YE RANGE WIGHA BOL UTHHI
SABR TO ZABT KE EHSAAS ME SONE NA DIYAA
NEHR BE-CHAIN RAHI PYAAS NE SONE NA DIYAA
HAAKIME SHAAM KO ABBAAS NE SONE NA DIYAA
PEHREDAAROn KI LABE NEHR KAMAR TUT GAYI
PARCHAME BAANIE ISLAAM KO JUNKE NA DIYAA
KAT GAYE HAATH MAGAR CHHUTAA NA DAAMAANE WAFAA
KHUD TO PYAASAA HI RAHAA NEHR KO SAIRAAB KIYAA
YE TERAA AZM YE HIMMAT YE TERI DARIYAA DILI
SIRIYAAn JISNE BHI ROUZE KI UTARKAR DEKHAA
USNE NAYAAB FAZILAT KAA SAMANDAR DEKHAA
DEKHNE WAALOn KI NAZROn NE YE MANZAR DEKHAA
AAJ BHI LIPTI HUWI HAI TERE QADMOn SE NADI