Anjuman E Sakina



KAHAAN SHABBIR NE ZAINAB SE JO YEH KHUSH HOKAR
MAIN JO HUN SABR KA AQA YEH WAFAA KA HAI QAMAR
FAKHRE HARUN YEH AAYAA HAI KARBALA KE LIYE

JAB WAFAA SAARE ZAMAANE MEI BHATAK AAYI HAI
AAKE ABBAS KE QADMON MEN JAGAA PAAYI HAI
JAB BHI AANSUN KO HATHELI PAR GIRAAKAR DEKHA
SAATH ABBAS KI TASWEER NAZAR AAYI HAI


WAFAA JISKA PARHE KALMA USSE ABBAS KEHTE HAIN
JISSE SAJDAIN KARE SAJDA USSE ABBAS KEHTE HAIN

WOH PYAASA PYAAS NE JISKI KIYA SAIRAAB DARIYA KO
HAI JISKI PYAAS BHI DARIYA USSE ABBAS KEHTE HAIN

ALI KA KHUN ZEHRA KI DUA SHABBIR KI CHAAHAT
BANE IN SAB SE JO MILKAR USSE ABBAS KEHTE HAIN

JO PATHTHAR PAR ALAM GHAADE USSE KEHTE HAI SAB HAIDAR
JO PAANI PAR ALAM GHAADE USSE ABBAS KEHTE HAIN

JO HAI SHABBIR KI QUWWAT ALI KO NAAZ HAI JIS PER
JISSE ZEHRA KAHE BETA USSE ABBAS KEHTE HAIN

LAGADE JO BAGAIR-E-TAIGH KI ANBAAR LAASHOON KE
JO HAI KESAR SHUJA’AT KA USSE ABBAS KEHTE HAIN

JO THA SHABBIR KA KHADIM MAGAR SAB SAHEBAAN-E-DIL
USSE AAQA USSE MAULA USSE ABBAS KEHTE HAIN