Anjuman E Sakina



AANE WAALAA PARDE SE JAB AAYEGAA
HAR GHAR ME GHAAZI KA ALAM LEHRAAEGAA

TEGHE ALI KI AAG JO WOH BARSAAEGAA
KOI CHIKHEGAA KOI CHILLAAEGAA

TEGHE ALI BADH BAD-HKE KAHEGI MAIDAAn MEN
DUSHMAN-E HAIDAR BACHKE KAHAAn TUn JAAEGAA

KHAIBAR KI FARRAAROn KAA USTAAD SAHI
BHAAGNE WAALAA PHIR BHI BHAAG NA PAAYEGAA

DOZAKH KAB JAAENGE DUSHMAN HAIDAR KE
INKO MALAK KE HAATHOn BHEJAA JAAYEGAA

TUn BHI KHILAAFE MAULAA ITNAA SOnCH KE BOL
CHAAND PE THOOKAA APNE HI MUNH PE AAYEGAA

PEHLU MEn SONE WAALE HOSHIYAAR RAHEn
QABR SE BHI MURDOn KO UTHHAAYAA JAAYEGAA

INKE MUHIB TO HONGE KHAZAANOn KE MAALIK
INKA DUSHMAN MAANGE BHEEKH NA PAAYEGAA