Anjuman E Sakina



AAI MERE MAULA HUSSAIN, AAI MERE AQA HUSSAIN
CHAL RAHA HAI DO JAHAN MEIN AAP KA SIKKA HUSSAIN

KYA GARZ HUM KO ZAMANE KE BADALTE RUP SE
KYUN BHALA GHABRAIE HUM ZULM O SITAM KI DHUP SE
JUB AZADARON KE SAR PAR HAI TERA SAYA HUSSAIN

MANI E SABR O RAZA AAI SAHEBE LAUH O KALAM
SAJDA GAHE AADAMIAT HAI TERE NAKSH O KADAM
TERE DAM SE HO RAHA HAI DEEN KA CHARCHA HUSSAIN

KHULD SE MILTI HAI JAAKAR JIS KE RAUZE KI HADEIN
MUNTAZIR REHTI HAI KHUD JIS KE AMAL KI AAYATEIN
KAUN HAI TARIKH ME TERE SIVA AISA HUSSAIN

ZARRAH ZARRAH DASHT KA MEHTAB JIS NE KAR DIYA
APNE KHOON SE DEEN KO SAIRAB JIS NE KAR DIYA
TU HAI WOH KAUNAIN MEIN SEH ROZ KA PYASA HUSSAIN

SURAT O SEERAT MEIN HAI JO HU BA HU KHAIRUN NISA
JISNE PALE AKBAR O ABBAS JAISE BAWAFA
TU NE US ZAINAB KO APNI GODH ME PALA HUSSAIN

DONO AALAM KI IBADAT JIS KE SAJDE PAR NISAR
JIS KE KANDHON PAR HAI KUL TAWHEED KA DARO MADAR
KAUN HAI TERE SIVA IS SHAN KA BANDA HUSSAIN

SAB SHAHIDON NE KIYA TERI SHAHADAT KO SALAM
BANDAGI KARNE LAGI TERI IBADAT KO SALAM
TU NE TAPTI RET PAR AAISA KIYA SAJDA HUSSAIN

ZINDAGI HOTE HUE FITRUS THA MARNE KE QARIB
MAS HUA JHULE SE TERE BAN GAYA USKA NASEEB
JAANE KIS KIS KA MASEEHA HAI TERA JHULA HUSSAIN