MOLA MOLA BOL MUSALMAN MOLA MOLA BOL
NURE ALI KE MUNKIR APNI MAN KI ANKHEN KHOL
DIL SE DARE HAIDAR PE AGAR EK BAAR KOI AAJAAYEGA
MAN KI MURAADE PAAEGA AUR MAULAAI KEHLAAEGA
ISS DAR SE LEJAATE HAI SAB BHAR BHAR KE KASHKOL
DAR PE JO HAQ BAAT KABHI KEHNE SE KABHI GHABRATE HAIN
ISHQ ALI MEN MARNE WAALE HI MEESAM KEHLAATE HAIN
AISE LOG HI DUNIYAA MEI HOJAATE HAIN ANMOL
KHAIBAR O KHANDAQ BADR O OHAD KA KISSA JAB CHIDJATA HAI
WAIZ KA CHEHRA DEKHO PHIKA PHIKA PADJAATA HAI
DARTA HAI KHULJAYE KABHI NA USKE BARON KI BOL
HIJRAT KI SHAB KAUN NABI KE BISTAR PAR HAI SOYA
KAUN NABI KE PAAS GHAAR ME CHEEKH MAR KE ROYA
KUCH TO SAMAJ ISE KAAM LE BHAYA MAN KE AANKHE KHOL
EHLE ZAMIN AUR EHLE FALAQ SAB INKA SADQA KHAATE HAIN
YEH WOH HAIN JO MUSHKIL ME NABIYON KE BHI KAAM AATE HAIN
JANNAT BAT-TA PHIRTA HAI INKE DAR KA BEHLOL