Anjuman E Sakina



MAI PANJATANI PANJATANI PANJATANI HUN
DAAWA HAI MERA NAARE JAHANNAM SE BADI HUN

DIWAANA E HAIDAR HUN MAI YE ISHQ SE SARSHAAD
ABBAS KA NAUKAR HUN SHAHE DEEN KA AZAADAAR
PHIR KYUN NA KAHUN MAI KE MUQADDAR KA DHANI HUN

MOHTAJ NAHIN HUN MAI ZAMAANE MEI KISI KA
SADQA MUJHE MILTA HAI BOHOT AALE NABI KA
ISS DAR KA BHIKAARI HUN TO AALAM ME GHANI HUN

YEH BAAT HAWA KARTI HAI AANDHI KI ZUBAN ME
JO PANJETANE PAAK KE DUSHMAN HAI JAHAAN ME
MAI NAAMO NISHAAN INKA MITAANE KO CHALI HUN

HAR EHLE ARAB EHLE AJAM EHLE AZAM KO
PANJ WAQT NAMAZ AAKE BATAATI HAI YE SAB KO
MAI AALE MUHAMMAD KE GHARAANE ME PALI HUN

SOJAYE JO KISMAT TO JAGAA LETA HUN KHUD HI
HAR BIGHRA HUWA KAAM BANA LETA KHUD HI
MAI BANDAYE SARKAARE HUSSAIN IBNE ALI HUN

ROSHAN MERI TAQDEER HAI BEZAAR HAI EHSAAS
HASNAIN KE ULFAT KE UJAALE HAI MERE PAAS
MAI GAUHARE NAAYAAB HUN FARZANDE WALI HUN