KARBALAA ZINDAA HAI JINE KI LAGAN ZINDAA HAI
HAQ PA MARNE KAA DILE-RAANAA CHALAN ZINDAA HAI
ZULMATE KUFR ME DAM TOD CHUKI FIKRE YAZEED
JAA BAJAA FIKRE SHAHAN SHAAHE ZAMAN ZINDAA HAI
MARHABAA ZAINABE MUZTAR HAI YE TERI MEHNAT
JO AZAADAARI KAA DUNIYAA ME CHAMAN ZINDAA HAI
EHLE GHAM KAANDHON PE TAABUT LIYE NIKLE HAIN
DIL ME SAJAAD KE PAIRON KI THAKAN ZINDAA HAI
HAR AZAADAAR KE SINE ME SAKINAA KI QASAM
QAID KHAANON KE ANDHERON KI GUTAN ZINDAA HAI
CHOUDAA SADIYAAN HUWI AB TAK BHI DILE MOMIN ME
BAAZU-E-ZAINABE MUZTAR KI DUKHAN ZINDAA HAI
BHAAI KI LAASH KO AFSOS KAFAN DE NA SAKI
KALBE ZAINAB ME ABHI TAK YE CHUBHAN ZINDAA HAI
LOUT KAR AAYEGAA PARDES SE MERAA AKBAR
ISI UMMEED PE BIMAAR-E WATAN ZINDAA HAI
JO BHI QURBAAN HUWAA RAAHE AZAADAARI ME
QABR ME AAJ BHI WO ZERE KAFAN ZINDAA HAI