Anjuman E Sakina



JIS WAQT GIRE GODE SE ABBAAS ALAMDAR
AAWAAZ DI AAQAA MERE AI MERE MADADGAAR
HAR SIMT SE HONE LAGI AB TEERON KI BOCHHAAR
IMDAAD KO POHNCHO MERI YAA SAYYADE ABRAAR
NAZDIKE ALAMDAAR JO POHNCHE SHAHE WAALAA
GHAAZI NE KAHAA KHAIME ME LEJAANAA NA LAASHAA
SHABBIR NE ABBAAS KAA SAR ZAANU PE RAKHAA
FARMAANE LAGE AB TO PUKAARO HAME BHAYYAA
IS TARHA SE AI BHAAI NA MUNH MODKE JAAWO
GHURBAT ME AKELAA HAME MAT CHHODKE JAAWO
AAGHOSH ME BHAAI KE JO DAM BHAAI NE TODAA
KEHTE THE KAMAR THAAM KE YE SAYYADE WAALAA… ZAINAB
SAR PITKE SARWAR NE KAHAA
MERAA BHAAI HUWAA HAI MUJH SE JUDAA
ZAINAB ZAINAB MAI AKELAA REHGAYAA

AB KOI MERAA YAAWAR NA BACHAA
AKBAR KAA GHAM KUCHH KAM TO NA THAA
YE SADMAA KAMAR MERI TOD GAYAA

GHAYYUR THAA WOH HASSAAS THAA WOH
PYAASE BACHON KI AAS THAA WOH
PYAASON KAA DILAASAA KHATM HUWAA

WO SHERE DILAAWAR BHAAI MERAA
SAALAARE LASHKAR BHAAI MERAA
SAB KUNBE KI JO DHAARAS THAA

SAB MERE SAHAARE CHHUT GAYE
SAB PYAARE MERE RUTH GAYE
MUJHE SABR ATAA KAR MERE KHUDAA

BAAZU KI TAAQAT KHATM HUWI
SINE KI HASRAT KHATM HUWI
AANKHON ME UJAALAA HI NA RAHAA

KHAIMEN TAK KIS TARHA AAWUN
BACHCHI KO KAISE SAMJHAAWUN
DARIYAA SE NA LOUTEGAA SAQQAA

BACHON KI AAS KAA MASHKIZAA
TEERON SE ZAALIM NE CHHEDAA
PAANI NA BACHAA KHUD BHI NA BACHAA

JAB SHAAME GHARIBAAN AAYEGI
JAB TERI RIDAA CHHINJAAEGI
AI BEHNAA TUJHE YAAD AAYEGAA

HAR AANKH SE BARSE ASHQE AZAA
MAJLIS ME SUHAIL EK HASHR HUWAA
JAB NAUHAA MUSAYYAB NE YE PARHAA