HOGAYI HAI RIHAAI HAMAARI GHAR CHALO GHAR CHALO AI SAKINAA
PUCHHTI THI YEH HAR BAAR MUJHSE
DEKH KAR AASMAAN KE PARINDE
PHUPHI AMMAA YEH MUJHKO BATAADO
KAB TALAK JAAYENGE HAM MADINE
UTHHO UTHHO AI SARWAR KI PYAARI- GHAR CHALO GHAR CHALO…..
KAAN ZAKHMI HAI AB TAK TUMHAARE
UTHHO MARHAM UNHE MAI LAGAA DUN
GAR NA TUM SAATH AAWO HAMAARE
KAISE GHAAZI KO CHEHRAA DIKHAAWUN
APNE AMMU KI TUM HON DULAARI- GHAR CHALO, GHAR CHALO….
HAI GHAZAB KAA ANDHERAA YAHAAN PAR
AUR KISI SIMT UJAALAA NAHIN HAI
HAI PARAAYI YEH BASTI YAHAAN KI
KOI GHAM-KHWAAR APNAA NAHIN HAI
HOGAYI YEH PHUPHI TUMPE WAARI- GHAR CHALO, GHAR CHALO….
AB TO PAIDAL BHI TUM NAA CHALO GI
OR NA ZULM-O SITAM KO SAHOGI
NAA RASAN KOI BAANDHEGAA TUM KO
OR NA HAATHON SE PARDAA KAROGI
MIL GAYI HAI JO CHAADAR TUMHAARI- GHAR CHALO GHAR CHALO…
JAB MAI JAAWUNGI APNE WATAN KO
UJDE GHARKO MAI SEH NAA SAKUN GI
MERI MAASUM MERI SAKINAA
YEH BATAAWO USSE KYAA KAHUN GI
TUMKO PUCHHE JO BEHNAA TUMHAARI- GHAR CHALO, GHAR CHALO…
KARBALAA KI ZAMIN PE HAI ASGHAR
AUR SAATH USKE SOYE HAI SARWAR
KOVN DILAASAA USSE DEGAA DILBAR
JO YAHAAN SO GAYI HON ZAMIN PAR
MAR NA JAAYE YEH MAADAR TUMHAARI- GHAR CHALO,GHAR CHALO…
QAID-E ZINDAAN SE HAAE EHMAD
AB TALAK BHI RIHAA HON NA PAAYI
SHEH KI ISS LAADLI KO AI MOHSIN
YEH ZAMIN KISTARHAA RAAS AAYI
KEH RAHI THI PHUPHI GHAM KI MAARI- GHAR CHALO, GHAR CHALO…