AASHUR KE DIN JAAN KI PARWAA NAHIN KARNAA
ARE, MAI MAA HUN MERE DUDH KO RUSWAA NAHIN KARNAA
AI AUNO MUHAMMAD AI AUNO MUHAMMAD
AI AUNO MUHAMMAD TUMHE ZAINAB KI QASAM HAI
ABBAAS KAA BAAZU KATE AUR TUM RAHO ZINDAA
AKBAR KAA KALEJAA CHHIDE AUR TUM RAHO ZINDAA
ASGHAR MERAA MARNE CHALE AUR TUM RAHO ZINDAA
HARGIZ MERE JITE HUWE AISAA NAHIN KARNAA
IMRAN KE DIL HAMZAA KE GUFTAAR KE WAARIS
TAALIB KI DUAA JAAFARE TAYYAAR KE WAARIS
HAAN TUMHI TO HO HAIDARE KARRAAR KE WAARIS
MAIDAAN SE HATNE KAA IRAADAA NAHIN KARNAA
QAASIM PE FIDAA AKBARE DILGIR PE SADQE
TUM SHER HO MERE TO HO BESHIR PE SADQE
MAI KAR BHI CHUKI HUN TUMHE SHABBIR PE SADQE
SHARMINDAA KOI KHUN KAA QATRAA NAHIN KARNAA
HAR LAMHAA KHABARDAAR SAKINAA KI SADAA SE
UTHE JO QADAM WO ALI AKBAR KI RAZAA SE
POTE HAIN WO HAIDAR KE AGAR TUM HO NAWAASE
UNCHAA KABHI ASGHAR SE BHI LEHJAA NAHIN KARNAA
AAJAAYE AGAR PYAAS ME HONTON PE ZABAANEN
PAANI MEN BARASTI RAHI KIRNON KI SANAA MEN
LAIKIN NA JUDAA JISM SE JAB TAK BHI HO JAANEN
TUM APNI NIGAAHEN SUE DARIYAA NAHIN KARNAA
MAANGO YE DUAA ROE NA NAUSHAAH KO FARWAA
GHAM ME ALI AKBAR KI NA BAITHE KABHI LAILAA
UJDE NA KABHI BANO KE ARMAANON KAA JULAA
GHAM MERE UJAD NE KAA ZARAA SAA NAHIN KARNAA
AAWO KE MAI IN CHEHRON KO ASHQON SE SAJAADU
DAM NAADE ALI KARKE TUMHE SHER BANAADU
ZIRHON KE EWAZ KAFNIYAA HI TUMKO PEHNAADO
TALWAAR NAHIN PAAYI YE SHIKWAA NAHIN KARNAA
AI NAYYAAR-O-AAMIR YE AJAB RAAH GUZAR HAI
AWLAADON KE MARNE KAA NA GHAM HAI NA ASAR HAI
MAATAM KI TAMANNA HAI NA PURSE KI KHABAR HAI
BHAAI KE SIWAA KOI BHI NAUHAA NAHIN KARNAA