VEERAN AAGOSH-E-MADAR
VEERAN DIL SAKINA KA
KAHYMON KI TARHA HAI VEERAN
ASGHAR TERA JHULA
ANSU BAHAAYE
KAISE JHULAYE
BALI SAKINA HAAY
JALTI ZAMEEN PAR, TU SORAHA HAI
FURQAT MEI TERI, DIL RORAHA HAI
ROTI HAI MADAR
ROTI HAI KHWAAHAR
KARTA HAI NAWHA HAAY
SUNA HAI JANGAL, SUNI HAI GODI
ZAKHM-E-JUDAAYI, DEGAYA TU BHI
VEERAN DIL HAI
VEERAN KHAYMA
YE KEHKE ROYA HAAY
AA MERE JAANI, AAGAYA PANI
AJA MITA DU, TASHNADAHANI
KUZA UTHAKAR
ROYI SAKINA
JAISE HI DEKHA HAAY
TERA HUMAKNA, YAAD AARAHA HAI
MADAR KE DIL KO, TARPA RAHA HAI
THAAM KE ROYI
JHULE KI DORI
KHALI JO LAAYA HAAY
MAQTAL MEI TUJHKO, KYA NEEND AYI
KISNE WAHAN PAR, LORI SUNAAYI
KAL TAK THI JAULA
AAGOSH-E-MADAR
AAJ YE SEHRA HAAY
NAZDEEK JAKAR, JHULE KE MADAR
KOKH JALI YE, KEHTI HAI ROKAR
JAAWUN KAHAN MEI
SAARE JAHAAN MEI
HAI MERI DUNIYA HAAY
MAA KI FUGHAN KO, LORI SAMAJH KAR
AY MERE BACHE, AJA PALAT KAR
KETHI HAI MAADAR
HOTI ZABAAN GAR
TUJHKO BULAATA HAAY
BAAB-UL-HAWAA'IJ, AY MAULA ASGHAR
KEHTE HAI SAB SE, IRFAN-O-MAZHAR
PAAYE DUAAYEN
USME ALI SE
JISNE UTHAAYA