YAA HUSAIN BE WATAN YAA HUSAIN BE KAFAN
GANJE SHAHIDAAn LAASHE HI LAASHE
JALTE KHAIME YAA HUSAIN
SINA-E-AKBAR HALQE ASGHAR QAASIM KAA PAAMAAL BADAN HAI
BAALI SAKINAA ASHQ BAHAAE BE CHAADAR MAZLOOM BAHEN HAI
KHUN FISHAAn NAZROn SE DEKHE AISE MANZAR YAA HUSAIN
BEHTAA DARIYAA PYAASE BACHE KISKAA RASTAA DEKH RAHE HAIn
MASHQO ALAM HAI ZAKHMI ZAKHMI GHAAZI DARIYAA PAR SOTE HAI
DUB GAYAA APNE HI KHUn ME TERAA LASHKAR YAA HUSAIN
EK ZAIFAA DASHTE BALAA ME AAYI HAI FARIYAAD SUNAANE
JISKO CHAKKI PEES KE PAALAA KEHTI HAI KOI TO BATAALE
KEHTI HAI AAJAA MERE DILBAR AAGAYI MAADAR YAA HUSAIN
EK BAHEN KHAIME KE DAR PAR DEKH RAHI HAI DARD KAA MANZAR
KEHTI HAI BEGORO KAFAN PAR KAISE DAALU HAAYE CHAADAR
CHHINGAYI CHAADAR MARGAYI KHWAAHAR KYUn NA TADAPKAR YAA HUSAIN
ZAKHMI KAANOn WAALI BACHI HAATH RAKHE HAIn RUKHSAAROn PAR
DOD RAHI HAI MAQTAL MAQTAL LOUT RAHI HAI ANGAAROn PAR
DHUNDH RAHI HAI BAAP KAA SINAA KEHTI HAI ROKAR YAA HUSAIN
NOUKE SINAA PAR AAP KAA SAR HAI SAANIE ZEHRAA BE CHAADAR HAI
KOTHOn PAR HAI BHID UDOO KI SAB KE HAATHOn ME PATHAR HAI
KHUN KE AANSU KYUn NA ROE NEZE PE SAR YAA HUSAIN
QALBE MUSAYYAB NAUHAA KUNAA HAI SHAAMIL HAI RAIHAAN KE AANSU
NAATIKE QUR’AAN QATL HUWAA HAI BEHTE HAI QUR’AAN KE AANSU
PYAAS PE TERI NAUHAA KUNAA HAI MOUJE KAUSAR YAA HUSAIN