Anjuman E Sakina



HAAE GHAREEBUL WATAN - YAA IMAAME RAZAA
ALWIDAA ALWIDAA ALWIDAA
YAA IMAAME RAZAA - YAA IMAAME RAZAA

DIL ME HAI TUFAANE GHAM LAB PE HAI AAH-O BUKAA
JAM-A HAI SAB MOMINEEN FARSHE AZAA HAI BICHHAA
RONE KAA YUN SHOR HAI JAISE HO MEHSHAR BAPAA
DARD KE MAARON KI YE DARD BHARI HAI SADAA

MUSI-E KAAZIM KAA LAAL NAAEB-E KHAIRUL WARAA
KISHTI-E UMMAT KAA THAA AATHWAAN YEH NAAKHUDAA
NAAM THAA SHEH KAA ALI AUR LAQAB THAA RIZAA
KOI NA USKE SIWAA DUSRAA THAA PESHWAA

ZEHR NE TAASIR KI ZOAF BARHAA SHAAH KA
BE WATANI KAA HAI GHAM SAR PE KHADI HAI QAZAA
SURA-E YAASIN KHUD SARWAR-E DEEN NE PADAA
PAAS PISAR BHI NAHIN KOUN PILAAYE DAWAA

UTH GAYAA DUNIYAA SE AAH NAAEB-E SHERE KHUDAA
AAGAYI PARDES ME ZEHR-E DAGHAA SE QAZAA
MOUT KAA US SHAAH KI JAB KE KHABAR KO SUNAA
DIL ME HUWAA KHUSH LAEEN MAKR SE RONE LAGAA

GHUSL-O KAFAN DE CHUKE JAB KE MUHAMMAD TAQI
SHAAH-E KHURAASAAN KI LAASH LOGO NE PHIR DAFN KI
SAATH JANAAZE KE THAA BAADSHAHE WAQT BHI
SHAAN SE MAZLOOM KI QABR-E MUTAHHAR BANI

ROKE KISI NE KAHAA HAAE MERE REHNUMAA
HAAE IMAAM-E JAHAAN HAAE WALI-E KHUDAA
AAP KE GHAM ME KAREN KYUN NA HAM AAH-O BUKAA
WAAEZE MAGHMOOM NE PITKE SAR KO KAHAA