NAUHAA KUNAA HAI ZAINAB-E MUZTAR ALI KE BAAD
KOHRAAM HAI MACHAA HUWAA GHAR GHAR ALI KE BAAD
MEHRAAB GHAMZADAA HAI NAMAAZI KIDHAR GAYAA
WIRAAN HAI RASOOL KAA MIMBAR ALI KE BAAD
MANZAR UBHAR KE AAGAYAA BAAZAARE SHAAM KAA
ZAINAB KE SAR SE JAB GIRI CHAADAR ALI KE BAAD
SHEHZAADI BAN KE AAYI THI KUFE ME KAL YEHI
DAR DAR PHIRI HAI ZAINAB-E MUZTAR ALI KE BAAD
JO SAR THAA BOSAGAAHE ALI-O MUHAMMADI
NEZE PE CHAD GAYAA HAI WOHI SAR ALI KE BAAD
KUCHH KHUN MURTAZAA KI HAI KUCHH KARBALAA KI HAI
SURKHI JO CHHAAGAYI HAI FALAK PAR ALI KE BAAD
ASGHAR SAA NAUNEHAAL BHI KHUN ME NAHAA GAYAA
UJDAA HAI IS TARHAA SE BHARAA GHAR ALI KE BAAD
DEKHO SITAM ZAMAANE KAA ZINDAANE SHAAM KAA
ROTE RAHE HAIN AALE PAYAAMBAR ALI KE BAAD
GUZRAA HAI YE BHI SAANEHAA IS GHAR PE AI ZAFAR
ZEHRAA KI BETIYAAN HAI KHULE SAR ALI KE BAAD