BAANU PUKAARI DAAGH YE DE-KAR NA JAAI-YE
GODDI SE MERE LAAL KO LE-KAR NA JAAI-YE
QASIM GAE ABBAAS-E DILAAWAR CHALE GAE
AVNO MUHAMMAD AUR ALI AKBAR CHALE GAE
WAAPIS NA AAYAA LOVT KE MAIDAAN JO GAYAA
HARGIZ TARAS NA KHAAENGE ASGHER PE ASHQIYAA
YE AAKHERI SAHAARAA HAI US-KO TO CHHODI-YE
YAA SHAAH MUJ GHARIB KO TANHAA NA CHHODI-YE
FARMAAYAA TAB HUSAYN NE HAM JAAENGE ZARUR
SAMJAANAA UNHE FARZ HAI SAMJAAENGE ZARUR
AAE HUSAYN FAVJE SITAM GAR KE SAAM NE
KI GUFTA-GU YAZID KE LASHKAR KE SAAMNE
MAGHRUR HUWE TUM KO KHUDAA YAAD NAHIn HAI
KYAA GAR ME TUM-HAA-RE KOI AWLAAD NAHIn HAI
DO DIN SE MUJH-PE BAND HAI DARIYAA KE RAAS-TE
BACHCHAA MERAA TARASTAA HAI PAANI KE WAAS-TE
GAR DUISHMANI HAI MUJH-SE TO MUJH-KO NA AAB DO
BACHCHE NE KYAA QASUR KIYAA HAI JAWAAB DE
SAYYAD HAI BE GUNAAH HAI MUSAAFIR HAI ZAALIMO
YE QAB-RE MUSTAFAA KAA MUJAAVIR HAI ZAALIMO
HAT JAAUNGAA MAI PAAS SE BACHCHE KE AAWO TUM
AAKER KHUD APNE HAATH SE PAANI PILAAO TUM
YE KEH-KE APNE DILKO SAMBHAALAA HUSAYN NE
ASGHER KO FARSHE KHAAK PE DHAALAA HUSAYN NE
TAKRIR NE HUSAYN KI ITNAA KIYAA ASAR
AWLAAD WAALE RO DIYE MUNH PHER PHER KAR
YE GUFTAGU HUSAYN KI VOH KAAM KAR GAI
HALCHAL-SI EK FAVJE YAZIDI MEn CHAL GAI
DEKHAA JO IB-NE SAAD NE LASHKAR KAA MAAJRAA
CHIL-LAA KE APNEE FAVJ SE GHUS-SE MEn YUn KAHAA
TUM AAJ TARAS AALE PAYAMBAR PE KHAAOGE
DARBAAR ME YAZID KE KUCHH BHI NA PAAOGE
EK BE WAFAA SE US-NE ISHAARE ME KUCHH KAHAA
PAA KAR ISHAARAA FOVJ SE EK BE-HAYAA BAD-HAA
BAANI-E ZULM JORO SITAM HURMALAA BAD-HAA
BACHCHE KO TIIR-E GHAM KAA NISHAANAA BANAA LIYAA
CHIKHI FALAK KE TIIR CHALAANAA SAMBHAAL KAR
MAA-A-SUM KAA GALAA HAI ZARAA DEKH BHAAL KAR
TAD-PI IDHAR KAMAAN UDHAR TIIR CHAL GAYAA
KHAIME MEn MAAM-TAA-KAA KALEJAA DA-HAL GAYAA
AFSOS RAHAA NA DIL PE QAABU HUSAYN KAA
ASGHER KAA GALAA CHHID GAYAA BAAZU HUSAYN KAA
KHENCHAA JO IDHAR TIIR UDHAR NABZ CHHUT GAYI
SHABBIR KI YE AAKHERI UMMID LUT GAI