GHURBAT ME AAJ SHAAH KI ROTAA HAI AASMAAn
QAASIM NAHIn HAI AUR NA ABBAAS-E NAWJAWAAn
WAQT-E MADAD HAI KOI BHI YAAWAR NAHIn RAHAA
SAR KO JUKAAE DASHT ME KATRE HAIn YE FUGHAAn
HINCHKIYAAn LETE HAIn AKBAR SHAAH KI AAGOSH ME
DEKH KAR KADIYAL JAWAAn KO KHUN ME DUBAA HUWAA
KAR RAHI HAI NAWJAWAANI DASHT ME AAH-O BUKAA
RORAHE HAIn SAR JUKAAE BAADSHAAH-E KARBALAA
CHHAAGAYAA GEHRAA ANDHERAA KUCHH NAHIn AATAA NAZAR
KYAA KAREn IS WAQT RANE Men HAAYE ZAHRAA KAA PISAR
CHOOR ZAKHMOn SE BADAN HAI AUR TUTI HAI KAMAR
LOUT KAR AAJAA MERE BHAAI KIYE SHEH NE YE BAYN
JAB NA AAYAA KOI TO HASRAT SE SHAAH-E MASHREQAIN
DEKH KAR DARIYAA KI JAANIB AUR YE BOLE HUSAYN
TU KAHAAn PAR HAI GAYAA JAAKAR MERE NOOR-E NAZAR
PAAS MERE LOUT KE AAJAA MERE LAKHT-E JIGAR
KAR RAHI HAI MAA IDHAR DAR PAR YE NAUHAA AUR UDHAR
SONCHTI HI REHGAYI ARMAAn BARHAA PAAYI NA MAA
AAGAYAA WAQT-E QAZAA SEHRAA SAJAA PAAYI NA MAA
HAAYE APNE LAAL KO DULHAA BANAA PAAYI NA MAA
JAB BHI MARTAA HAI KISI KAA NAWJAWAAn BETAA KOI
DEKH KAR HAALAT JAWAAn KI LAASH PAR YE BAAP KI
KHUn RULAATAA HAI YE MANZAR HAM KO GAUHAR AAJ BHI