FARYAAD HAI FIZZAA KI, FARYAAD HAI FIZZAA KI
FIZZAA NE KAHAA AUN-O-MUHAMMAD NAHIN AAYE
KYAA HOGAYAA HAAE
GHAR LUTGAYAA ZAINAB KAA WO AB KISKO BULAAYE
KYAA HOGAYAA HAAE
WO CHAAND SE DO LAAL WO ZAINAB KE DULAARE
RAN ME GAYE MAARE
KYAA GUZRI HAI ZAINAB PE WO AB KISKO BATAAYE
KYAA HOGAYAA HAAE
AABAAD JO KAL TAK THAA WO GHAR HOGAYAA BARBAAD
FIZZAA KI HAI FARIYAAD
ZAINAB NE SITAM AALAM-E GHURBAT ME UTHAAYE
KYAA HOGAYAA HAAE
YE SONCH KE ZAINAB NE SITAM DIL PA HAI JELE
SHABBIR SE PEHLE
GHAM AUN-O-MUHAMMAD KAA BHALAA KAISE MANAAYE
KYAA HOGAYAA HAAE
BE GORO KAFAN RAN ME HAI SHABBIR KAA LAASHAA
HAM PAR HAI SITAM KYAA
DUKHIYAA KO MUSIBAT ME YE BAAT RULAAYE
KYAA HOGAYAA HAAE
JALTE HUWE KHAIME ME WO BE PARDAA KHADI HAI
YE SONCH RAHI HAI
AABID KO SAMBHAALE KE SAKINAA KO BACHAAYE
KYAA HOGAYAA HAAE
NAA AUN-O-MUHHAMAD HAI NA QAASIM HAI NA AKBAR
NAA FOUJ NA LASHKAR
RUDAAD MUSIBAT KI WO AB KIS KO SUNAAYE
KYAA HOGAYAA HAAE
KEHTI THI MUHIB RAN MEN YE SAANI-E-ZEHRAA
GHAR LUTGAYAA MERAA
AULAADE PAYAMBAR KO SHAKI LUTNE AAYE
KYAA HOGAYAA HAAE