Anjuman E Sakina



JUMBISH JO MARKABON ME NA PAAYI HUSAIN NE
AANKHON SE HAAE KHUN BAHAAYI HUSAIN NE
EK MISHT-E KHAAK JUK KE UTHAAYI HUSAIN NE
KHUD SUNGI AUR BAHEN KO SUNGAAI HUSAIN NE
ZAINAB PUKAARI PHENKO - MERI JAAN JAATI HAI
BHAYYAA TUMHAARE KHUN KI BU IS SE AATI HAI

KARBALAA AAGAYI KARBALAA AAGAYI
ROUK LO QAAFELAA KARBALAA AAGAYI
SHEH NE ROKAR KAHAA MERI DUKHIYAA BAHEN
ROUK LO QAFELAA KARBALAA AAGAYI
HAI YEHI WO JAGAA JIS KE AAGE SAFAR
AB NA HOGAA MERAA KARBALAA AAGAYI

NASB KHAIME KAREN KEHDO ABBAAS SE
MUJHKO DEKHO NA YUN HASRAT-O-YAAS SE
AB TA-ALLUK HAI BAS BHUKH AUR PYAAS SE
KARLO SHUKRE KHUDAA HOGAA WAADAA WAFAA
KHUN BAHEGAA MERAA KARBALAA AAGAYI

PYAAR AUN-O-MUHHAMAD KO KARLO BAHEN
HAAN ISI KHAAK PAR SHAAHZAADON KE TAN
KHUN ME DUBE HUWE DEKHNAA BEKAFAN
SABR AUR HOUSLAA SURAT-E-SAYYADAA
AI BAHEN HO TERAA KARBALAA AAGAYI

JISKO MAA BAN KE PAALAA HAI SHAAM-O-SAHAR
WO JO HAI HU-BA-HU AQSE KHAIRUL BASHAR
USKAA PAIWAST BARCHHI ME HOGAA JIGAR
KHUN ME DUB KAR MERAA NURE NAZAR
TUMSE HOGAA JUDAA KARBALAA AAGAYI

HAATH SINE PE RAKH SUN JO KEHTA HUN AB
SONCH SE BAAHAR AAH HOGAA AISAA GHAZAB
ASGHARE BEZABAAN MERE HAATHON PE JAB
MUSKURAATE HUWE TEER KHAATE HUWE
MUJH PE HOGAA FIDAA KARBALAA AAGAYI

DAF-ATAN SHEH KE HONTON PE JAAN AAGAYI
JAB ACHAANAK SAKINAA WAHAAN AAGAYI
EK QAYAAMAT THI JO NAAGAHAAN AAGAYI
BAAP KI GUFTAGU SUNKE WO MAAHRU
BOLI AI BAABAA KYAA KARBALAA AAGAYI

BOLAA ZAINAB SE AAKHIR ALI KAA PISAR
TERAA ZARBON SE HOGAA JUDAA MERAA SAR
LAASH PAAMAAL HOGI ISI KHAAK PAR
DIL SAMBHAALOGI TUM MUJH PE DAALOGI TUM
AANSUON KI RIDAA KARBALAA AAGAYI

HAAE RAIHAAN ARHSO ZAMEEN RODIYE
ROYAA QUR’AAN RUHUL AMEEN RODIYE
MUSTAFA REHMATE AALAMEEN RODIYE
THI NAJAF KI HAWAA PUR BHI MEHWE BUKAA
SHEH NE JIS DAM KAHAA KARBALAA AAGAYI