Anjuman E Sakina



DUBAA HUWA LAHU ME MUHARRAM KAA CHAAND HAI
YE FAATEMAA KE WAASTE MAATAM KAA CHAAND HAI

ISS CHAAND ME RASOOL KAA KUNBAA UJAD GAYAA
BACHCHON SE MAAEN MAAON SE BETAA UJAD GAYAA
SUGHRAA KE BHI NASEEB ME YE GHAM KAA CHAAND HAI

YE CHAAND JAB AYAAN HUWAA KEHNE LAGE HUSAIN
KHUSHNUDI CHAAHTAA HUN TERI RABBE MASHRAQAIN
YAA RAB SARE BULAND YE AADAM KAA CHAAND HAI

MAANAA KE ISS ME SAR SE JUDAA HOGAA MERAA TAN
MIT JAAEGI JAHAAN SE TASWEER-E PANJATAN
ISLAAM KI HAYAAT KE PARCHAM KAA CHAAND HAI

TADPENGE KHAAK-O KHUN PE SAB MERE NAUNEHAAL
PHIR BHI KARUNGAA SHUKR TERAA RABBE ZULJALAAL
ZAINAB KI BERIDAAI KE AALAM KAA CHAAND HAI

AKBAR KAA SINAA ASGHAR-E BESHEER KAA GALAA
ZAKHMI SINAA-O TEER SE HOGAA MERE KHUDAA
DARDO ALAM KAA MAATAM PAIHAM KAA CHAAND HAI

MERI SAKINAA KHAAKE YATEEMI PE SOEGI
MUJHSE BICHHAD KE KHUN KE AANSU WO ROEGI
MAGHMUM DIL KAA DEEDA-E PURGHAM KAA CHAAND HAI

RAIHAAN ASHQE GHAM KI RAWAANI SE PUCHHLE
TASHNAA LABON SE PUCHHLE PAANI SE PUCHHLE
NAUHE KAA CHAAND HAI YEHI MAATAM KAA CHAAND HAI