JUMBISH JO MARQABON MEN NA PAAYI HUSAIN NE
EK MUSHT KHAAK JUK KE UTHAAYI HUSAIN NE
KHUD SUNGI AUR BAHEN KO SUNGHAAYI HUSAIN NE
ZAINAB PUKAARI DEKHO MERI JAAN JAATI HAI
BHAYYAA TUMHAARE KHUN KI BU ISME AATI HAI
SHEH NE KAHAA ZAINAB SE YEHI KARBOBALAA HAI
PYAASAA YAHIN REHNAA HAI YEHI QATL KI JAA HAI
IS DASHT ME BHAAI SE BICHHAD JAAOGI ZAINAB
RAAHAT YAHAAN EK PAL BHI NAHIN PAAOGI ZAINAB
YE KARB KI MANZIL HAI YEHI DASHT-E BALAA HAI
AB IS SE TO AAGE HAME JAANAA NAHIN BEHNAA
IS DASHT KI MATTI HAI BAHEN MERAA BICHHONAA
KHUN MERAA BAHE ISPE YE QISMAT ME LIKHAA HAI
IS DHARTI PE KHOJAAENGE SAB AANKH KE TAARE
BHICHHDENGE ISI KHAAK PE QURAAN KE PAARE
YE ZULM KI BASTI HAI YEHI SHEHR-E JAFAA HAI
PAALAA HAI JINHE LAAD SE WO BHI NA RAHENGE
AB UNKI ADAA KHULD ME HAM JAAKE SUNENGE
YE MARZI-E RAB HAI YEHI NAANAA KI RAZAA HAI
CHHE MAAH FAQAT JULE ME JULAA HAI WO BACHCHAA
TADPEGAA ISI KHAAK PE SEH ROZ KAA PYAASAA
EK TEER-E SITAM USKI TARAF DEKH RAHAA HAI
KOHRAAM HUWAA MAJLISE SHABBIR ME BARPAA
HAR EHLE AZAA SINAA-O SAR PIT RAHAA THAA
FARHAAN NE RAIHAAN YE NAUHAA JO PARHAA HAI