ZINDAAN ME JAB KE DUKHTARE SHABBIR CHALBASI
BAAZU HILAAKE BAANU –E NAASHAAD NE KAHAA
BIBI PADAR KE SAR SE UTHAAWO TO SAR ZARAA
BAATEN ABHI TO KARTI THI AANSU BAHAA BAHAA
SAAKIT HAI NABZ HAAE GHAZAB SARD DAST-O PAA
MUNH DEKHTE HI ZEEST KAA NAQSHAA BADAL GAYAA
KIS WAQT SAANS RUK GAYI KAB DAM NIKAL GAYAA
MAA SAKINAA KAA SHAANAA HILAATI RAHI
MOUT BACHCHI KO LORI SUNAATI RAHI
AB NA KHOLENGI AANKHEN YATIMAAN KABHI
JAANTI HAI SAKINAA KO NIND AAGAYI
PHIR BHI TAQDEER KO AAZMAATI RAHI
BE YAQEENI KI HAI QAIFIYAT KIS QADAR
SONCHTI HAI KE BAAQI HAI SAANSE MAGAR
ZINDAGI APNAA DAAMAN CHHURAATI RAHI
PAANI LAAYE KAHAAN SE WO USKE LIYE
TASHNAA LAB HAI SAKINAA KHABAR HAI USE
PYAASE HONTON PE AANSU GIRAATI RAHI
APNI GODI ME MAYYAT UTHAAYE HUWE
MOJIZE KI UMMEEDEN LAGAAYE HUWE
SAYYADAA KI KAHAANI SUNAATI RAHI
RORAHI THI ZAMEEN RORAHAA THAA FALAQ
WAQTE TALQEEN SE WAQTE TADFEEN TAK
MANNATEN KARKE USKO UTHAATI RAHI
THI TAKALLUM WO GHURBAT KI KAISI GADI
JAB ANDHERE MEN BACHCHI KI MAYYAT UTHI
QABR NANHI SI ZAINAB BANAATI RAHI