Anjuman E Sakina



LO MILGAYI ZINDAAN SE SAKINAA KO RIHAAI
SAJJAAD NE YE KEHTE HUWE LAASH UTHAAYI

BAABAA CHALE AAWO KE MAI TANHAA HUN YAHAAN PAR
BAS ITNAA BATAA JAAWO KE DAFNAAWUN KAHAAN PAR
KYAA QAID ME HI DAFN KARE BAHEN KO BHAAI

GHAR JAANE KI HASRAT TO BARAAMAD NAA HUWI PAR
DAM TUT GAYAA HOGAYI AAZAAD TU DUKHTAR
MAA BETI KAA MUNH CHUM KE DETI THI DUHAAI

AB SHIMR TAMAACHE NAA ISE MAAR SAKEGAA
AARAAM SE SOYEGI TAHE KHAAK YE DUKHIYAA
LAASHE PE YEHI KEHTI RAHI FAATEMAA JAAYI

BHAAI NE ZAMEEN KHOD KE JAB QABR SANWAARI
ROTE HUWE MAYYAT SARE TURBAT JO UTAARI
ZINDAAN KI DIWAARON SE AAWAAZ YE AAYI

BANDH AANKHEN KIYE QABR ME AARAAM KAREGI
MAA SHAANAA HILAATI RAHE PHIR BHI NA UTHEGI
YUn MOUT NE LORI HAI SAKINAA KO SUNAAYI

AABID PE TAKALLUM WO MUSIBAT KI GADI THI
JIN HAATHON ME KHELI THI WO MAASOOM SI BACHI
UN HAATHON NE TURBAT BHI SAKINAA KI BANAAYI