SUGHRAA KO MADINE ME KYUn CHHOD GAYE AKBAR
BIMAAR TADAPTI HAI HAR WAQT YEHI KEHKAR
BHAYYAA KI JUDAAI ME AARAAM NAHIn AATAA
BIMAAR KAA HAR LAMHAA DUSHWAAR HUWAA JINAA
KEHTI HAI KALEJE PAR FURQAT KAA CHALAA KHANJAR
SUGHRAAKI FUGHAAOn SE HILTAA HAI MAKAAn USKAA
AUR USKI KARAAHOn PAR ROTAA HAI JAHAAn SAARAA
JIS WAQT WO KEHTI HAI AB LOUT KE AA AKBAR
SUGHRAA KE LABOn PAR HAI HAR WAQT YEHI NAUHAA
HO JAB SE GAYE BHAYYAA EK KHAT BHI NAHIn BHEJAA
RAAHOn MEn TUMHAARI TO MAI BAITH GAYI THAK KAR
DIN RAAT MUSIBAT HAI AB SAANS NAHIn AATI
KEHTI HAI KE SINE SE AB YAAD NAHIn JAATI
BAABA KI JUDAAI KAA EK BOJ BHI HAI DIL PAR
DARWAAZE KI AAHAT SE UMMEED KO HAI BAANDHAA
KEHTI HAI MERE BHAYYAA KYAA BHUL GAYE WAADAA
AB JALD PALAT AAWO KYAA AAWOGE TURBAT PAR
ABBAAS KI AKBAR KI BAABAA KI SAKINAA KI
AKBAR KE SIWAA ISKO HAI YAAD BOHOT AATI
AAJAAYE QAZAA MUJHKO KEHTI HAI YEHI ROKAR
SUGHRAA KO KOI SHOZAB JAAKAR YE KHABAR DEDE
ABBAAS KI AKBAR KI AB RAAH NA WOH DEKHE
KARBAL KE BAYAABAAn ME DONOn HAI TAHE KHANJAR