Anjuman E Sakina



BAIN THE YE DUKHIYAA MAA KE
UTHJAA BETAA, UTHJAA AKBAR

KYUN MUJH SE KHAFAA HO LAAL MERE
KYUN RUTH GAYE KYAA BAAT HUWI
MAA KAS SE BULAATI HAI TUMKO
KYUN SUNTE NAHIN AAWAAZ MERI

THARRAAI ZAMEEN JIS WAQT SUNAA
YE NAUHAA US FARIYAADI KAA
IS GHAMZADAA MAADAR KE DIL ME
ARMAAN HAI TERI SHAADI KAA

YE KEHKE JIGAR KO THAAM LIYAA
AUR DUKHIYAA KHAAR PE BAITH GAYI
MAA CHAAND SE CHEHRE PAR TERE
AFSOS NA SEHRAA BAANDH SAKI

HASRAT SE KABHI YE KEHTI THI
MAA LAASHE PISAR SE LIPTE HUWE
IS AALAM-E-GHURBAT ME MMA KO
TUM KISKE SAHAARE CHHOD GAYE

BAS ITNAA KAHAA AUR LAASNE PAR
GHASH KHAA KE GIRI UMME LAILAA
THAA JIS SE UJAALAA GHAR ME MERE
WOH CHAAND LAHU ME DOOB GAYAA