Anjuman E Sakina



SUGHRAA YE MADINE MEN KARTI RAHI NAUHAA
AAJAA AI MERE BHAAI AAJAA MERE BHAYYAA

MAI ROZ TUMHE BHAYYAA RORO KE BULAATI HUN
TAPTI HUWI RAAHON PE NAZRON KO BICHHAATI HUN
KYUN AAHO FUGHAAN MERI SUNTE NAHIN BHAYYAA

TUM AANE HI WAALE HO YE AAS DILAATI HUN
HUJRE KE CHARAAGHON KO MAI ROZ JALAATI HUN
REHTAA HAI YAHAAN PHIR BHI QAYAAMAT KAA ANDHERAA

HAALAT PE MERI GHAR KI WIRAANIYAAN ROTI HAI
MIL MILKE GALE MUJHSE TANHAAIYAAN ROTI HAI
AMMAA HAI NA BEHNEN HAIN BAABAA HAI NA BHAYYAA

KYUN LE NA GAYE APNE HAMRAAH MUJHE BHAAI
SUGHRAA KO YAHAAN TANHAA KYUN CHHOD GAYE BHAAI
HAR WAQT KAA MAATAM HAI HAR WAQT KAA RONAA

MAI TERE BICHHADNE KAA GHAM KAISE UTHHAAUNGI
AB TERE BINAA BHAYYAA MAI JI NAHIN PAAUNGI
IS UJDE HUWE GHAR ME DAM GUT-TAA HAI MERAA

EID AAYI MAGAR MAINE MALBOOS NAHIN BADLAA
MAI KIS SE BHALAA KEHTI TUM THE HI NAHIN BHAYYAA
THAA KOUN JO DILWAATAA MUJHE EID KA JODAA

THI EID MADINE MEN SAB KHUSHIYAAN MANAATE THE
BITE HUWE DIN MUJHKO TERI YAAD DILAATE THE
DIN EID KAA BHI MAINE RO ROKE GUZAARAA