Aaye jo qabre Fatema pe /sayyade Anaam
Rukhsaar rakh ke..qabr par / rokar kiyaa Kalaam
Sehraa me dil ke tukdon ki basti basaaungaa
Ammaa madine lout ke mai /aa na paawungaa
Taa ba falak larazne lagi / qabre Sayyada
Aayi janaabe Fatema /ki qabr se sadaa
Jaao mere laal.... Jaao mere laal.
JAAO MERE LAAL – JAAO MERE LAAL TUM PE HAR QADAM RAHE DUAA MERI
AUR SAAYAA-E KHUDAA-E ZULJALAAL
JAA RAHE HO TUM JO KEHKE DEEN-E HAQ BACHAAUNGAA
AMMAA AAP KI QASAM MAI KHUN ME NAHAAUNGAA
AB HO JO BHI HAAL TUM HO PAAEMAAL
TUM PE HAR QADAM RAHE DUAA MERI
BACHPANE ME JO KIYAA THAA WAADAA BAABAA JAAN SE
WAQT AB WO AAGAYAA KAFAN TU SAR SE BAANDH LE
DEKH MERE LAAL DEEn KAA HAI SAWAAL
KAAMIYAABIYAAN HAI TERE SAATH HI
DE RAHAA HAI DEEN-E KIBRIYAA TUJHE SADAA
AL MADAD HUSAIN AL MADAD SHAHE HUDAA
BE WATAN HUSAIN MERE DIL KE CHAIN
HAM SAFAR TUMHAARE SAATH MAA HUWI
SHAANE BAA WAFAA KE HONGE JIS GADI QALAM
ROYENGE ALAM KE SAAYE ME TERE HARAM
ROYEGI WAFAA AUR KARBALAA
ROYEGI FURAAT AUR TASHNAGI
AKBARE JAWAAn JIGAR PE KHAAEGAA SINAA
MAA KAHEGI MERAA CHAAND KHOGAYAA KAHAAn
US PE NAUHAA KHWAAn HONGE MERI JAAn
MAI BHI AUR HASAN BHI AUR RASOOL BHI
YE SADAA MAZAARE SAYYADAA SE MAZHAR AABDI
SUNKE RO DIYE HUSAIN MUSTAFAA KI AAL BHI
JAAO MERE LAAL JAAO MERE LAAL
TUM PE HAR QADAM RAHE DUAA MERI