Anjuman E Sakina



KYUN CHHOD KE JAATE HO HAME BHAAI MADINAA
BATLAAWO RAHE KAISE ANDHERE ME SAKINAA

TUM JAATE HO AMMAA BHI PHUPHI BHI CHALI YAAN SE
TUM JAANTE HO DARTI HUN WIRAAN MAKAAN SE
TAQDEER NE MUJHSE MERE KUNBE KO HAI CHHINAA

MAALUM NA THAA AB KABHI GHAR JAA NA SAKUNGI
DARTI THI ANDHERE SE ANDHERE MEN RAHUNGI
MARNE SE BHI BAD-TAR HUWAA ZINDAAN ME JINAA

EK ROZ TO AAZAAD HUWAA KARTE HAIN QAIDI
QISMAT ME KHUDAA JAANE MERE QAID HAI KAISI
IS QAID SE PAAUNGI RIHAAI MAI KABHI NAA

JIS ROZ SE NIKLI HUN MERE BHAAI MAI GHAR SE
JUZ DARD MILAA KYAA HAI SAKINAA KO SAFAR SE
US DIN SE MUQADDAR ME RAHAA ASHQ HI PINAA

MAI KEHTI THI MILJAAYE RIHAAI KISI SURAT
GHAR JAAKE MAI DAADI SE KARUNGI YE SHIKAAYAT
DAADI MERE BAABAA KO MUSALMAANO NE CHHINAA

WO ZULM UTHAAYE HAIN KE BATLAA NAHIN SAKTI
WO ZAKHM HAI SINE ME KE DIKHLAA NAHIN SAKTI
MARKAR BHI MAYASSAR NAHIN RAAHAT KAA KARINAA

ACHHAA CHALO GHAR JAAO TO SUGHRAA SE YE KEHNAA
AABAAD RAHO SHAAD RAHO AI MERI BEHNAA
AB KHWAAB ME AAEGI TUMHE MILNE SAKINAA

TUM QABR BANAAKAR MERI ZINDAAN ME CHALE HO
ITNAA TO ZARAA TUM MERE BAARE ME BHI SONCHO
DIL ME HAI LAEENON KE BHARAA MUJHSE HI KINAA

TAUSIF DARE ZINDAAN PE LARAZTE RAHE AABID
RAIHAAN BOHOT DER TADAPTE RAHE AABID
JAB QAAFELAA ZINDAAN SE CHALAA SUE MADINAA