DARIYAA SE KOI JAAKAR GHAAZI KO BULAALAAYE
AISAA NA HO GHURBAT MEN
GHAR ZEHRAA KAA LUTJAAYE
RUKH KAR KE SUE DARYAA HAATHON SE KAMAR THAAMI
AKBAR KE JANAAZE PAR SHEH KEHTE THE RORO KE
KYA BAAT HUWI ABTAK ABBAAS NAHIN AAYE
HAI LAAKHON ADU RAN MEN AUR SIBTE NABI TANHAA
ZAKHMI HAI BOHOT ZAKHMI PYAASAA HAI BOHOT PYAASAA
MAZLOOM KI GARDAN PAR SHAMSHEER NACHALJAAYE
ZAINAB KAA JARI BHAAI MAARAA GAYAA MAQTAL MEN
GHABRAAYI HUWI BEHNAA INSAANON KE JANGAL MEN
EK EK SE ROROKAR YE KEHTI RAHI HAAYE
MAZLOOMON KE KHAIMON MEN AB GHAM KAA BASERAA HAI
KAL TAK THI JAHAAN ROUNAK AB GEHRAA ANDHERAA HAI
SHAAM AAGAYI GHURBAT KI TAARIKH HUWE SAAYE
SAADAAT KE KHAIMON KO HAIN GHERE HUWE SHOLE
KHETI HAIN NABI ZAADI GHABRAAYI HUWI ROKE
GHAR LUTGAYAA IS BAN MEN CHAADAR BHI NA CHHINJAAYE
HAALAT HAI AJAB GAUHAR MAASOOM SAKINA KI
KHUN BEHTAA HAI KAANON SE LAGTE HAIN TAMAACHEN BHI
NAAZON ME PALI BACI ROROKE NA MARJAAYE