Anjuman E Sakina



ANDHERE GHAR MEN SAKINA KO MOUT AAYI HAI
JANAAZA UTHNE KAA SAAMAAN NAHIN DUHAAI HAI

WOH BACHCHI MARGAYI SHABKO JO ROYAA KARTI THI
WOHI HUSAYN KI DUKHTAR FALAK SATAAYI HAI

KISSI NE HAAL YE HAAKIM KO JAAKE BATLAAYAA
KE QAIDIYON PE MUSIBAT EK AUR AAYI HAI

PUKAARI BAANU-E NAASHAAD AAKE MAYYAT PAR
SAKINAA BETI UTHHO MAA TUMHAAARI AAYI HAI

KARUN MAI DAFN KAA SAAMAAN KISTARHAA BETAA
MAI HUN GHARIB TO MAJBUR TERAA BHAAI HAI

TUMHE TO MAINE BADI MANNATON SE PAALAA THAA
MAI ZINDAA REHGAYI AUR MOUT TUMKO AAYI HAI

BA-GHAIR ROUSHNI KE KISTARHAA TADAPNAA THAA
ANDHERI QABR TUMHE AB PASAND AAYI HAI