Anjuman E Sakina



KARBALAA KE DASHT MEN ZAINAB PE TANHAAI NA HO
WO GADI AAYE NA YAA RAB MAI RAHUN BHAAI NA HO

CHAADARE CHHINJAAYE GHAR LUTJAAYE HAM HOJAAYE QAID
EHLE BAIT-E MUSTAFAA KI AISI RUSWAAI NA HO

ZAKHME GARDAN KE LAHU SE KUCHH TO BUJ JAAEGI PYAAS
HURMALAA KE TEER SE PEHLE JO MOUT AAYI NA HO

REHGAYI MAI GHAM UTHHAANE LUTGAYAA SAB GHAR KAA GHAR
BOLI SUGHRAA IS KHABAR MEN KAASH SACHCHAAI NA HO

UMME LAILAA KEHTITHI YAA MUJHKO BHI AAJAYE MOUT
YAA ALI AKBAR NE SINE PAR SINAA KHAAI NA HO

SOCHAA SHEHNE KHAAK SE UTHHNE KI KOSHISH HO YE KAASH
MOUT KI AAGHOSH ME AKBAR KI ANGDAAI NA HO

DAFN KARKE LAASH ASGHAR KI KAHAA SHABBIR NE
KOI GULSHAN KI KALI IS TARHA KUMLAAI NA HO

KHAAK PAR BAITHHI YE ZAINAB KEHTI THI BAADE HUSAIN
SHAAME GHURBAT IS TARHA DUSHMAN PE BHI CHHAAI NA HO

SHAAM DHALTE HI MADINE MEN YE KEHTITHI RUBAAB
MERI BACHCHI SHAAM KE ZINDAAN MEN GHABRAAI NA HO

BHAAI NE WAADAA KIYAA THAA BANKE MEHMAAN AAENGE
KAASH SHIREEN HAMKO LENE RAAH MEN AAYI NA HO