KHUD KO BAHAN SAMBHAALO BAAZAAR AARAHAA HAI
BAALON SE MUNH CHHUPAALO BAAZAAR AARAHAA HAI
NAANAA NE JO KAHI THI MANZIL WO AARAHI HAI
BAABAA NE JO KAHI THI MANZIL WO AARAHI HAI
LO SAR PE KHAAK DAALO BAAZAAR AARAHAA HAI
BAAZAAR KAA YE MANZAR DEKHAA NA US SE JAAYE
PADTE JO TAAZIYAANE GHASH KHAA NA JAAYE HAAE
SAJJAAD KO BACHAALO BAAZAAR AARAHAA HAI
NAA MEHRAMON KO REHTE AAKAR KOI HATAAYE
HAM KIS TARHAA SE GUZRE PARDAA KOI BANAAYE
ABBAAS KO BULAALO BAAZAAR AARAHAA HAI
GERE NA AAKE ZAALIM RASTE ME BIBIYON KO
TUM LELO BAAZUON KE GERE ME BIBIYON KO
SAB KO QARIB BULAALO BAAZAAR AARAHAA HAI
KUCHH DER ME UTHHEGAA JAISE KE SHORE MEHSHAR
BARSENGE TAAZIYAANE BARSENGE AB TO PATHTHAR
AB APNAA SAR JUKAALO BAAZAAR AARAHAA HAI
BAARISH ME PATHTHARON KI MUJHE DHUNDHTI RAHOGI
PHIR KUCHH NA SUN SAKOGI PHIR KUCHH NA KEH SAKOGI
KUCHH SUNLO KUCHH SUNAALO BAAZAAR AARAHAA HAI
TATHEER KI HO MAALIK AI FAATEMAA KI WAARIS
MAI AMBIYAA KAA WAARIS AUR TUMHO MERI WAARIS
LO REHBARI SAMBHAALO BAAZAAR AARAHAA HAI
AAYI NAWED JIS DAM AAWAAZ SHAAHE DEEN KI
GUNJI PUKAAR US DAM YE ZAINABE HAZEEN KI
BHAYYA MUJHE BACHAALO BAAZAAR AARAHAA HAI