HAQQ-UL YAQEEN ME MOMINON IS TARHA HAI LIKHAA
BAAD AZ WAFAAT-E SHAAH-E RASOOL FAKHR-E AMBIYAA
ZAALIM NE JAB GIRAAYAA THAA DAR KO BASAD BUKAA
EK TAAZIYAANAA BAAZU-E ZAAHRAA PE THAA LAGAA
THAA IS JAFAA SE SHOR-O BUKAA KAAENAAT ME
KHAM PADGAYAA THAA FATEMAA ZAHRAA KE HAATH ME
FARMAATE THE ALI-E WALI SHAAH-E LAA FATAA
TAA ZINDAGI TO HAATH WO ZEHRAA KAA KHAM RAHAA
PAR GHUSL MAI NE LAASHA-E ZAHRAA KO JAB DIYAA
CHAAHAA KE US KAJIN KO KARU HAATH SE JUDAA
DIL TANG AAKHIR HO GAYA MUJH DIL MALOOL KAA
SIDHAA HUWAA NA HAATH JANAABE BATOOL KAA
AAKHIR USI TARHAA SE RAHAA DAST-E PAAK KHAM
LAASHE KO PHIR KAFAN BHI PINHAAYAA BA-CHASHM-E NAM
TAABOOT ME JO LAASH LITAAYI BASAD ALAM
TAB AAL-E MUSTAFAA SE YE BOLE SHAH-E UMAM
KARLO WIDAA TUMSE WIDAA AB BATOOL HAI
YE AAKHERI ZIYAARAT-E BINTE RASOOL HAI
YE SUNKE AAYE EHLE HARAM BAA DIL-E FIGHAAR
TAABOOT-E FAATEMAA PE HUWI BIBIYAAN NISAAR
MILKE GALE SE LAASH KE ZAINAB THI ASHK BAAR
KULSUM PAAUN CHUM-TI THI MAA KE BAAR BAAR
GUL THAA KE WAQT-E MAATAM-E BINTE RASOOL HAI
YE AAKHERI WIDAA-E JANAAB-E BATOOL HAI
PAR JAB JANAABE SHABBAR-O SHABBIR NEK NAAM
AAYE WIDAA-E LAASH KO DIL APNAA THAAM THAAM
TAB FAATEMAA KE BANDE KAFAN KHUL GAYE TAMAAM
NIKLE KAFAN SE DAST-E BATOOL-E FALAK MAQAAM
KIS DARJAA CHAAHTI THI HAR EK NOOR-E AYN KO
LIPTAA LIYAA GALE SE HASSAN AUR HUSAYN KO
ZAINAB NE BHAAIYON KO KIYAA LAASH SE JUDAA
RO KAR ALI NE SHABBAR-O SHABBIR SE KAHAA
LO AB UTHHAAO MAA KAA JANAAZAA BASAD BUKAA
AAYI SADAA NA DO UNHE TAKLIF MURTAZAA
YE BOJ MERAA AHMAD-E MURSAL UTHHAAENGE
TAABOOT FAATEMAA KAA MUHAMMAD UTHAAENGE