ZAHRA KE BHARE GHAR ME TABAAHI KA SAMA HAI
UTH'TA HUA SHABBIR KE KHAIMON SE DHUAN HAI
QAASID SE YE KEHDO NA SUNAAE KHAT-E-SUGHRA
LIPTI HUI AKBAR KE KALEJE SE SINA HAI
GIR GIR KE SAMBHALTE HI LIYE AATE HAIN SHABBIR
AY DARD THEHER LAASH ALI AKBAR KI JAWAAN HAI
YA RAB KAHIN MAR JAAE NA SAJJAD SAFAR ME
ZANJEER ME JAKDI HUI BEEMAR KI JAAN HAI
JANGAL ME AKELA USE KYUN CHORH RAHE HO
PARDES ME ASGHAR KA NA BABA HAI NA MAA HAI
KYUN ZAINAB-O-KULSUM KI CHHINTI HAI RIDAAEN
LUTI HAIN NABI ZAADIYAN ABBAS KAHAN HAI
ZAAHIR HAI KE GHUT-GHUT KE MARI HOGI SAKINA
MAZLOOM KI GARDAN ME JO RASSI KA NISHAAN HAI