Anjuman E Sakina



SADAA YE AATI HAI MAQTALSE MERI JAAN ASGHAR
TUMHAARE HIJRMEN BETAAB HAI YE MAA ASGHAR

AB AABHI JAAO BADI DER HOGAI BETAA
GAE HO RUTHKE MAADARSE TUM KAHAAN ASGHAR

PADARKE PAAS JO SOE TO HAMKO BHUL GAE
NA YAAD AAI TUMHE DIL JALI YE MAA ASGHAR

WOH EK NANNAASA JULAA BHI JAL GAYAA BETAA
TUMHAARE BAAD JO BAAQI THAA EK NISHAAN ASGHAR

RIDAAEN CHHIN GAI BE PARDAA HAM PHIRAAE GAE
ISSI TARAHSE NA JAANE KAHAAN KAHAAN ASGHAR

BAHAN TUMHAARI SAKINAAPE ZULM OR HUWE
HAI USKE KAAN ABHI TAK LAHU LAHAAN ASGHAR

CHALEBHI AAWO KE TANHAAI KHAAE JAATI HAI
SULAAUNGI TUMHE DE DEKE LORIYAAN ASGHAR

ASAR YE DEKHO MUJAAHID FUGHAANE MAADARKAA
KE HAI ZAMAANE MEN HAR SOO ZABAAN ZABAAN ASGHAR