Anjuman E Sakina



ZEHRAA KE GULISTAANKI TABAAHIKA FASAANAA
BATLAAEGI ZAINAB
ISLAAMKO SHABBIRKA SAR DEKE BACHAANAA
BATLAAEGI ZAINAB

NAANAA KE MADINESE CHALE JAB SHAHE WAALAA
EK SHOR THAA BARPAA
BHAAI KA BOHOT RANJSE SUGHRAAKO MANAANAA
BATLAAEGI ZAINAB

MAKKAA JO SAHAR-BAND HAI ALLAAH KA MAA-MAN
WAHAAN REH NA SAKE SHAAH
HAJ CHHODKE MAQTALKI TARAF BHAAI KA JAANAA
BATLAAEGI ZAINAB

SHIMR AAYAA HUWA SHOR TO ZAINABNE YE PUCHHAA
MAAJAAE YE KYAA HAI
SARWARKAA SHAHAADATKI KHABAR ROKE SUNAANAA
BATLAAEGI ZAINAB

EK DIN MEN WOH AS-HAABO A-IZZAAKI JUDAAI
GHAR BHARKI SAFAAI
SHABBIR KA HAR EK-KE LAASHE KO UTHAANAA
BATLAAEGI ZAINAB

SHEH QATL HUWE KHAIMON MEN DAAKHIL HUWE NAARI
AUR AAG LAGAA Dl
UNN SHOLONSE AWLAADKO MAAON KA BACHAANAA
BATLAAEGI ZAINAB

WOH PYAASKI SHIDDAT WOH YATIMAAKA TADAPNAA
AUR MAANGNAA PAANI
AUR SHIMRKA BE DARDISE PAANI KA BAHAANAA
BATLAAEGI ZAINAB

SHEHZAADIYONKO LEGAYE UNTONPE BITHAAKAR
BALWEMEN KHULE SAR
BAAZAAROMEN DARBAAROMEN ZINDAAN MEN JAANAA
BATLAAEGI ZAINAB

KYAA HOGAYE DO BHAAI CHACHAA BAAP BAHAN HAAE
JAB PUCHHENGI SUGHRAA
HAR EK KA SITAM SEHTE HUWE KHULD KO JAANAA
BATLAAEGI ZAINAB