Anjuman E Sakina



RAVZA-E EHMAD-E MURSAL PE THAA ZAINAB KAA BAYAAN
YAA RASOOL-E DO JAHAAN
KARBALAA KEH-TE HAI JO LUT GAYE HAM JAA KE WAHAAN
YAA RASOOL-E DO JAHAAN

BHAAI KO ZIB-HA KIYAA GAR SE BULAAKAR AZ-LAM
AUR KIYE ZULM-O SITAM
AAG KHAIMON MEN LAEENON NE LAGAAYI THI WAHAAN
YAA RASOOL-E DO JAHAAN

AAP KI UMMAT-E BE-REHM NE KYAA ZULM KIYAA
HAI GHAZAB WAA-WAILAA
DO PAHER MEN HUWAA ZEHRAA KAA BHARAA GAR WIRAAN
YAA RASOOL-E DO JAHAAN

IS QADAR KAS-KE RASAN SHIMR NE BAANDHI NAANAA
IS KAA WAAQIF HAI KHUDAA
DEKHIYE BAAZU MEN HAI AAJ TALAK ME-RE NISHAAN
YAA RASOOL-E DO JAHAAN

BAAP KI YAAD MEN AFSOS WOH AISI ROYI
DIL PE CHALTI THI CHHURI
CHAL-BASI QAID MEN GUT GUT KE SAKINAA NAANAA
YAA RASOOL-E DO JAHAAN

BAIN SE HAZRAT-E ZAINAB KE THAA MEHSHAR BARPAA
RAVZAA THARRAA TAA THAA
KYAA LIKHE AAJ YE RAAHAT JO WOH KARTI THI BAYAAN
YAA RASOOL-E DO JAHAAN