Anjuman E Sakina



AABID NE KAHAA AAKE QARIN BIN-TE ALI SE
AB SU-E WATAN CHALIYE PHUPHI-JAAN MAI SADQE
SUN KAR YE KHABAR ZAKHMEN JIGAR PHAT GAYE SAA-RE
MARQAD SE LIPAT KAR KIYE ZAINAB NE YE NAALEN
MAI JAB BHI WATAN JAAUN-GI BHAYYAA
BIN TE-RE NA GAR JAAUN-GI BHAYYAA

ATHTHAARAA BARAS KAA ALI AKBER BHI YAHIN HAI
CHHEH MAAH KAA NAN-HAA ALI ASGHER BHI YAHIN HAI
HAI KHAAK BASAR FARWAA KAA DILBAR
PAAMAAL BADAN QAASIM-E MUZTAR
KIS MUNH SE MAI GAR JAAUNGI BHAYYAA
BIN TE-RE NA GAR JAAUN-GI BHAYYAA

KYAA DIN THE KE AABAAD THAA ZEHRAA KAA GULISTAAN
YE KISKI NAZAR KHAA GAYI SAB HO GAYAA WIRAAN
BAAQI NAHIN AB KOI NIGEHBAAN
SAB BHAAI ME-RE HO GAYE BE JAAN
MARJAAUNGI MARJAAUNGI BHAYYAA
BIN TE-RE NA GAR JAAUN-GI BHAYYAA

ABBAAS SE AUR TUM SE HAI ZAINAB KO NIDAAMAT
ZINDAAN MEN CHHOD AAYI HUN DONON KI AMAANAT
KYAA TUT GAYI MUJH PE QAYAAMAT
KIS DARJAA HAI ZAINAB K0 KHIJAALAT
WOH LAB PE NAHIN LAAUN-GI BHAYYAA
BIN TE-RE NA GAR JAAUN-GI BHAYYAA

SOTAA HAI MERAA DHOOP MEN NANHAA ALI ASGHER
KEHTI HAI YE BAANU KE WAALI HAI YAHIN PAR
ZINDAAN MEN EK CHAL-BASI DUKHTAR
BAITHE-GI NA AB SAAYE MEN MAADAR
KYAA KEH KE MAI SAMJAAUN-GI BHAYYAA
BIN TE-RE NA GAR JAAUN-GI BHAYYAA

TAYYAAR NAHIN SU-E WATAN JAANE KO LAILAA
WOH KEHTI HAI MAI CHHOD DUN KIS TAR-HA SE TANHAA
ATHTHAARAA BARAS KAA MERAA BETAA
REH JAAE-GAA IS BAN MEN AKELAA
KAI-SE US-E SAMJAAUN-GI BHAYYAA
BIN TE-RE NA GAR JAAUN-GI BHAYYAA

AAMAD KI KHABAR SUN KE ANEES AAEN-GE SAARE
YE NEEL NUMAAYAAN HAI J0 BAAZU PE RASAN KE
GAR PUCHH LIYAA MUJH SE KISI NE
BATLAAUN-GI UN-KO MAI YE KAI-SE
BAS SHARM SE MARJAAUN-GI BHAYYAA
BIN TE-RE NA GAR JAAUN-GI BHAYYAA