Anjuman E Sakina



CHEHLUM KO KARBALAA MEN JAB AAYI WOH BIBIYAAN
SAADAAT-E KARBALAA
HAR BIBI KAR RAHI THI KUCHH IS TAR-HA SE FUGHAAN
SAADAAT-E KARBALAA

KUCHH BIBIYAAN YAHAAN HAI KUCHH BIBIYAAN WAHAAN
KARTI HUWI FUGHAAN
BICHHDI HUWI THI MAQTAL-E SARWAR MEN JAA BA-JAA
SAADAAT-E KARBALAA

EK BIBI DASHT-E KHUNI MEN JAATI HAI NEHR PAR
KEHTI BA CHASHM-E TAR
ABBAAS DE-NE AAYI HUN PURSAA SAKINAA KAA
SAADAAT-E KARBALAA

GUT GUT KE LAADLI TERI ZINDAAN MEN CHAL BASI
TURBAT WAHIN BANI
BHAYYAA WHO QAID SE NA HUWI MAR KE BHI JUDAA
SAADAAT-E KARBALAA

AKBER KI QABR PAR YUN HUWI LAILAA NAWHAA-GAR
DEKHAA NA SAAL BHAR
AAYI HUN QAID-E SHAAM SE AB HO KE MAI RIHAA
SAADAAT-E KARBALAA

BAANU YE BAIN KARTI THI AI ME-RE BE ZUBAAN
MAA DHUNDHE AB KAHAAN
BATLAA-DE HAI KAHAAN MERAA ASGHER AI KARBALAA
SAADAAT-E KARBALAA

QURBAAN TE-RE AI ME-RE MAAJAAE BE WATAN
MAJBOOR THI BAHAN
ZINDAAN MEN MUJH SE TERI AMAANAT HUWI JUDAA
SAADAAT-E KARBALAA

RO-TE HAI KHAAS-O AAM TERAA SUN KE YE KALAAM
AI SHAAH KE GHULAAM
NAWHAA TERAA ANEES HAI MAQBUL-E BAARGAAH
SAADAAT-E KARBALAA