Anjuman E Sakina



AYYUHAN-NAAS TUM-HE KHUN-E HUSEINI KI QASAM
KAM NA HO RAN-JO ALAM AUR YE SHO-RE MAATAM

YE WOH MAATAM HAI JO ZEHRAA-O ALI KAR-TE RA-HE
AS-RE AASHUR YE MAATAM TO NABI KAR-TE RA-HE
JAB LUTAA FAATEMAA ZEHRAA KAA BHARAA GAR RAN-ME
ALQAMAA ROTI THI AUR KARBO-BALAA KARTI THI BAIN

CHAL BASAA SAAMNE ATHAARAA BARAS KAA BETAA
HAAE IS UMR MEN SAJTAA HAI SARON PAR SEHRAA
NUR AANKHON KAA GAYAA THOKARE KHAA-TE HAI HUSEIN
DA-RE KHAIMAA PE KHA-DI ROTI HAI BIN-TE ZEHRAA

EK NAN-HI SI LA-HED KHOD KE MAIDAAN MEN HUSEIN
KEH-TE HAI SONPAA KHUDAA KO TUJ-HE AI NU-RE AIN
KHWAAB SAB KHAAK MEN PAIWAND HUWA UMME RABAAB
KHAALI JULAA HUWAA AUR KOKH TUM-HAARI UJDI

JI-KE AB KYAA KA-RE SHABBIR KE LASHKAR NA RAHAA
WOH ALAMDAAR WOH ABBAASE DILAAWAR NA RAHAA
ASR KAA WAQT LIYE JAAM-E SHAHAADAT AAYAA
RAKH DIYAA SAJDA-E MAABUD MEN SHABBIR NE SAR

SA-RE BAAZAA-RE JAFAA BIN-TE ALI BE CHAADAR
BHAAI ATHAARAA THE KOI NA RAHAA SAR-PE MAGAR
RASSIYAA QAI-DE SITAM RAN-JO ALAM KUNBE KAA GHAM
DAM BA TAQDIR HAI IS HAAL MEN BIN-TE ZEHRAA

CHAL-BASI SHAAM KE ZINDAAN MEN SAKINAA GUTKAR
DAFN KE WAQT BHI AAYE NAHIN BHAYYAA AKBER
JIS-KI HASRAT RAHI DIL MEN HI RIHAAI NA MILI
KHUN BHARAA KURTAA KAFAN BAN GAYAA MARQAD ZINDAAN

ASHK AANKHON SE NAHIN THAM-TE HAI RAIHAAN KABHI
YAAD AAJAATAA HAI JAB SHAAM KAA ZINDAAN KABHI
JAB BHI KIRTAAS PE MAI NAWHAA-E SHABBIR LIKHUN
ME-RI TEHRIR MEN AATAA HAI ME-RE QALB KAA SOZ