Anjuman E Sakina



KHINCH-E JAFAA SHIAARON NE GESU RIDAA KE SAATH
KUCHH BAAL UD-TE DE-KHE ZAMEEN PAR HAWAA KE SAATH

ROTI THI APNE PYAARON KO SAIDAANIYAAN MAGAR
MILTI THI TAAZIYAANON KI IIZAA BUKAA KE SAATH

GAR-DAN MEN TOVQ AAB-LE PAAUN MEN BEDIYAAN
KYAA BEKASI-O YAAS THI ZAINUL IBAA KE SAATH

KIS KARB SE PUKAARAA THAA ZAINAB NE BHAAI KO
SARWAR KI LAASH TAD-PI BAHAN KI NIDAA KE SAATH

KYAA BEKASI-O YAAS THI AA-LE RASUL PAR
JINN-O MALAK BHI GIRYAAN THE ARZ-O SAMAAN KE SAATH

SAIDAANIYON PE HOTI THI SHIDDAT JAFAAON KI
JAB BAALON SE CHHUPAATI THI CHEHRAA HAYAA KE SAATH

NAAQE SE GIR-TE BACHCHE KO KAI-SE BACHAATI MAA
BAANDH-E THE HAATH PUSHT PE KAS-KE JAFAA KE SAATH

JAB UT-RE QAIDI NAAQE SE TO UN KI PUSHT PAR
KUCHH KHAAL TAN KI REH GAYI LIPTI ABAA KE SAATH

FARIYAAD-E FAATEMAA PE SA-RE HASHR AI-ANEES
HAM BHI KAREN-GE AAHO BUKAA AMBIYAA KE SAATH