Anjuman E Sakina



HARAM KO KUSHTA-E KHANJAR KI YAAD AAEGI
WATAN KO HO-KE BHAR-E GAR KI YAAD AAEGI

NAZAR PAD-HI JO KABHI MAA KI ADH KHIL-E GUL PAR
TABASSUME ALI ASGHER KI YAAD AAE-GI

SULAA KE QABR MEN BESHIR KO NA JAAO RABAAB
KHULE GI NIND TO MAADAR KI YAAD AAEGI

RABAAB BAALI SAKINAA KO RO-E GI DIN BHAR
ANDHERI RAAT MEN ASGHER KI YAAD AAEGI

UTHTHE GI KOI BHI MAYYAT JAB EHTEMAAM KE SAATH
BEHEN KO LAASHA-E SARWAR KI YAAD AAYE-GI

MADINAA KAAMP UTHEGAA BAHEN KE NAALON SE
WATAN MEN JAB BHI BARAADER KI YAAD AAYEGI

BAHEN KO AAKHERI RUKHSAT MEN DEKH-LO SHABBIR
GALAA KATEGAA TO KHWAAHER KI YAAD AAEGI

NA JAAO GANJE SHAHIDAAN Kl SIMT AI ZAINAB
BAS-E BASAAE HUWE GAR KI YAAD AAEGI

RIDAA CHHINE-GI TO YAAD AAYEGAA FURAAT KAA SHER
RASAN BANDHE-GI TO AKBER KI YAAD AAYEGI

CHALEGAA DASHT SE JAB QAAFELAA ASEERON KAA
QADAM QADAM PE BHAR-E GAR KI YAAD AAYE-GI

SUROOR ROK DI JAAEGI PURSISH-E EHWAAL
LAHED MEN JAB GHAMEN SARWAR KI YAAD AAYEGI