Anjuman E Sakina



HAATHON MEN LIYE KHAALI KUZE
KHAIMON SE JO BACHCHE NIK-LE THE
PANJON PE KHA-DE HO HO KE SABHI
ABBAAS KAA RASTAA TAK-TE THE

ALLAAH ZAIFI KAA AALAM
AANKHON MEN ANDHERAA CHHAAYAA THAA
SI-NE SE LAGAAE LAASHE JAWAAN
SHEH CHAL TE HUWE GIR PAD-TE THE

IS TARHA BHATIJ-E KO RAN SE
LAAYE THE CHACHAA KAFNAAE HUWE
SARWAR KI ABAA KE DAAMAN MEN
QAASIM KE BADAN KE TUK-DE THE

KHAIMEN SE CHA-LE HAI SHAAHE ZAMAN
ASGHER KO UTHAAE HAATHON MEN
YAA RAAHE KHUDAA MEN DE-NE-KO
YE AAKHRI HADIYAA LAAYE THE

JAB AAG LAGI THI KHAIMON MEN
AAWAAZ KISE DETI ZAINAB
KHAIMON KE MUHAAFIZ MAQTAL MEN
SAR APNAA KATAAE SO-E THE

AAZAAD KIYAA ALLAAH KAA GAR
BANDH-WA KE RASAN BE GAR HOKAR
AABAAD KIYAA ZINDAAN-E SITAM
KAABE KE MUHAAFIZ AISE THE

ZAINAB NA KAHENGI KUCHH LAIKIN
SAJJAAD RA-HEN KHAAMOSH MAGAR
RUDAAD-E MAZAALIM KEHTE HAI
JO PUSHT PE DURR-E BAR-SE THE

HILTI THI FASILEN KUFE KI
IS TAR-HA LAEEN BHAAGE THE FASI
EK HAIBAT CHHAAI THI SAB PAR
ABBAAS KE TEWAR AISE THE