Anjuman E Sakina



ZINDAAN MEN SAKINAA YE BUKAA KARTI THI ROKAR
DAM GUT-TAA HAI AMMAA MERAA AB YAHAAN SE CHALO GAR

KYAA ANDHERAA HAI SUJAAYI NAHIN DETAA KUCHH BHI
HAATH RAKHTAA NAHIN AMMAA ME-RE SAR PAR KOI
AUR CHAND ROZ MEN MARJAAUN-GI MAI GUT GUT KAR

NEEL RUKHSAAR KE KAANON KAA LAHU TAAZAA HAI
KUCHH ME-RE DARD KAA AMMAA TUM-HE ANDAAZAA HAI
GHAM MEN BAABAA KE HUN MAGHMUM CHACHAA KE MUZTAR

PYAAS SE KHUSHK HAI RASSI SE GALAA HAI ZAKHMI
AUR IS PE MUJ-HE RO-NE BHI NAHIN DE-TE SHAQI
GURKIYAAN SHIMR JO DETAA HAI TO PHAT-TAA HAI JIGAR

KHAAK PE SOTI HUN BAABAA KAA NAHIN HAI SINAA
KITNAA DUSHWAAR HAI IS DARD-O ALAM MEN JINAA
RAAT DIN ROTI HUN KAR-DE KOI BAABAA KO KHABAR

KHUN BHARAA KURTAA BADAL DO MERAA PYAARI AMMAA
APNI GODI MEN SULAA-LO MUJ-HE WAARI AMMAA
SO-NE DETAA NAHIN EK PAL MUJ-HE YE HIJR-E PIDAR

TUM TO KEH-TI THI RIHAAI KI GADI AA PONHCHI
AISAA LAGTAA HAI JUDAAI KI GADI AA PONHCHI
KHWAAB MEN AAYE THE ME-RE ABHI DAADAA HAIDAR

NIND AATI NA THI RAIHAAN JI-SE WOH BACHCHI
SO GAYI SHAAM KE ZINDAAN MEN YE KEHTI HUWI
CHAIN SE SO-UN-GI JAAUN-GI JO ZINDAAN SE GAR