Anjuman E Sakina



KARTI THI ZAINAB NAVHAA LUTAA GAYAA GAR MERAA
CHHUT GAYAA BHAAI MERAA CHHIN GAYI SAR-SE RIDAA

HOTAA JO NAZDIK GAR DETI MAI SAB KO KHABAR
KITNI HUN MAJBUR MAI BAAQI NA BHAAI PISAR
HAAE MAI JAAUN KIDHAR KIS-KO DUN RAN MEN SADAA

SAANI-E HAIDER NAHIN NAWJAWAAN AKBER NAHIN
AVN-O MUHAMMED NAHIN QAASI-ME MUZTAR NAHIN
MUNIS-O YAAWAR NAHIN AAGAYI SAB KO QAZAA

MAAR-TE HAI SELIYAAN AAK-E YE FOVJE GARAAN
HUKM HAI YE SHIMR KAA BAND KARO YE FUGHAAN
KYAA KA-REN AB BIBI-YAAN ZULM KI HAI INTIHAA

KAANON SE KHENCHE GAVHAR KURTAA HAI SAB KHUN ME TAR
MERI SAKINAA KE UF NEEL HAI RUKHSAAR PAR
HOTAA HAI TUK-DE JIGAR KARTI HAI JAB WOH BUKAA

BHAAI KO AP-NE BAHAN DE NA SA-KE-GI KAFAN
SAR PE NAHIN HAI RIDAA IS KAA HAI DIL PAR MAHAN
HAAE GHARIBUL WATAN HAAE QATI-LE JAFAA

KARBO-BALAA KE SITAM KAI-SE ANEES HON RAQAM
ASHKON KE SAILAAB MEN KHASTAA HUWAA HAI QALAM
TOD NA DE GHAM SE DAM GIRYAAN HAI HAD-SE SIWAA