Anjuman E Sakina



BE RIDAA SHAAM KE DARBAAR MEN JAANAA ZAINAB

ZAL-ZA-LE AAEN-GE JIS WAQT ZAMIN KO PAIHAM
CHAADAR-E CHHIN-KE LE JAAE JO BAANI-E SITAM
AUR BAL-WE MEN TAMAASHAAI BA-NE NAA-MEHRAM
AP-NE BAALON SE MUNH AP-NAA CHHUPAANAA ZAINAB

MERI NAACHAAR SAKINAA KO NA RO-NE DENAA
BAAD ME-RE KOI TAKLIF NA HO-NE DENAA
GARM RETI PE KABHI US-KO NA SO-NE DENAA
AP-NE SI-NE PE SAKINAA KO SULAANAA ZAINAB

GURKIYAAN ME-RI SAKINAA KO JO DE SHIM-RE LAEEN
SELIYAAN MAAR-NE AAYE JO U-SE WOH BE-DEEN
KHOVF KE MAA-RE NIKAL JAAE NA JANGAL MEN KAHIN
AP-NI AAGHOSH MEN TUM UN-KO CHHUPAANAA ZAINAB

QAAFELAA EH-LE HARAM KAA JO MADINAA JAAE
AUR ASNAA-E SAFAR MEN MERAA MAQTAL AAYE
TUM KO FURSAT JO GADI BHAR KE LIYE MIL JAAE
CHAND AANSU MERI TURBAT PE BAHAANAA ZAINAB

YE LUTAA KAARWAAN JIS WAQT MADINAA POHNCHE
AA-KE JO DUKHTAR-E BIMAAR PIDAR KO PUCHHE
AUR BESHIR KO JIS WAQT WOH DUKHIYAA DHUNDHE
MERI SUGHRAA KO KALEJE SE LAGAANAA ZAINAB

KARBALAA MEN JO ME-RE GAR MEN MUSIBAT GUZRI
AUR BAAZAARO MEN TUM PAR JO AZIYYAT GUZRI
MUKHTASAR YE HAI JO KUCHH BHI QAYAAMAT GUZRI
SAARI RUDAAD MERI MAA KO SUNAANAA ZAINAB