Anjuman E Sakina



JAB QATL RAN-MEN HO GAYE ANSAAR-o AQRABAA
KHAIME MEN AAYE SAR KO JUKAA-E SHAH-E HUDAA
BO-LE PISAR SHAHEED HUWE BHAAI CHAL BASAA
LAI-KIN HAMEN NA AAYI QAZAA WAA MUSIBATAA
KI GUF-TA-GU HUSEIN NE JAAKAR BAHAN KE SAATH
BAAZU BANDHEN-GE AB TE-RE ZAINAB RASAN KE SAATH

CHAL-NE KO HAI HUSEIN PE SHAM-SHIR AI BAHAN
RON-DEN-GE MERI LAASH KO BE-PIR AI BAHAN

RUKHSAT HAR EK KO HAM-NE KIYAA TUM HAMEN KARO
AAWO LAGAAM THAAM KE HAAFIZ KHUDAA KAHO
SAMJO TUM-HAARI BIGDI HAI TAQDIR AI BAHAN

AKBER KI LAASH MAI-NE UTHAAYI HAI KIS TARAH
ASGHER KI QABR MAI-NE BANAAYI HAI KIS TARAH
ROYl HAI MUJH PE KHUD MERI SHAMSHIR Al BAHAN

TUK-DE UTHAAYE MAI-NE JO QAASIM KI LAASH KE
TUK-DE KAL-E-JAA HO GAYAA FARWAA KI AAH SE
BHAYYAA HASAN KI MIT GAYI TASWIR AI BAHAN

AB ME-RE BAAD LOOT PA-DE GI KHAYAAM MEN
BE PARDAA TUM KO JAANAA HAI BAAZAA-RE SHAAM MEN
SAAYAA KA-RE GI CHAADAR-E TAT-HIR AI BAHAN

MAINE WUZU KIYAA ALI ASGHER KE KHUN SE
BAI-THE NAHIN HAI PHIR BHI YE AADAA SUKUN SE
HAI KOVN MUJH-SAA BE-KAS-O DILGIR AI BAHAN

RAIHAAN AAZMI KAA QALAM DARD BHARAA HAI
US-NE HAMAARAA HAAL JO NAVHO MEN LIKHAA HAI
MAQBUL KYUN NA USKI HO TEHRIR AI BAHAN