Anjuman E Sakina



AI JAANE MIR-E KAWSAR AI BE-ZABAAN ASGHER
AI FAATEMAA KE DILBAR AI BE-ZABAAN ASGHER

SHABBIR KE CHAMAN KAA EK YAAD GAAR GHUNCHAA
HAIDER KE SAA-RE TE-WAR AI BE-ZABAAN ASGHER

AFLAAK PAR FARISH-TE HIMMAT PE TE-RI HAIRAAN
LAAKHON SALAAM TUJH PAR AI BE-ZABAAN ASGHER

DUSHMAN KI BUZDILI PAR WOH TERAA MUSKURAA-NAA
KHANDAAN HAI TEER KHAA KAR AI BE-ZABA AN ASGHER

SUKHE LABON PE TU NE JIS DAM ZABAAN PHERI
RO-NE LAGAA THAA LASHKAR AI BE-ZABAAN ASGHER

CHILLU MEN KHUN LEKAR SHABBIR MUZTARIB HAI
ALLAAH-RE WOH MANZAR AI BE-ZABAAN ASGHER

DUNIYAA NA LAA SA-KEGI AISI MISAAL KOI
SABR-O RAZAA KE PAIKAR AI BE-ZABAAN ASGHER

KHAIMEN KE DAR SE MAADAR AAWAAZ DE RAHI HAI
LOVT AAWO AB TO DILBAR Al BE-ZABAAN ASGHER

MAQTAL MEN HAI ANDHERAA DHUNDHUN KAHAAN MAI BETAA
KEHTI HAI RO-KE MAADAR Al BE-ZABAAN ASGHER

BATLAAO LAAL MAA SE AAEGI NIND KAISE
JULAA HAI AUR NA BISTAR Al BE-ZABAAN ASGHER

SAAGHAR TE-RE KARAM KAA AB MUNTAZIR HAI AAQAA
SHAA-HE ZAMAN KE DILBAR AI BE-ZABAAN ASGHER