Anjuman E Sakina



AI SAAHIBE AWLAAD TUN KAR GHOR KHUDAARAA
SHASH-MAAH PISAR LAAEKE PAIKAAN KAA THAA KYAA

PAANI TALAB AADAA SE KIYAA SHAAH NE AAKAR
SHASH-MAAH PISAR DAST-E MUBAARAK PE DIKHAA KAR
BOLAA BINE KAAHIL KI TARAF SHIMR-E SITAMGAR
AAQAA KAA KALAAM AI BINE KAAHIL TUN QATAA KAR

NIKLAA SAF-E LASHKAR SE BINE KAAHIL-E BEPEER
AUR TAAK KE MAARAA ALI ASGHAR KI TARAF TEER
ZAKHMI HUWAA HAATHON PE JO SHABBIR KE BESHIR
GOYAA HUWE AADAA KI TARAF HAZRAT-E SHABBIR

JAB TEER GULU-E ALI ASGHAR MEN DHAR AAYAA
SHABBIR NE SAR SU-E FALAK RO KE UTHAAYAA
FARMAAYAA YEH AADAA SE ZARAA REHM NA KHAAYAA
MAQBUL HO CHHOTAA SAA YEH HADIYAA BHI KHUDAAYAA

THAA PYAAS KE SADME SE JO ASGHAR KAA AJAB HAAL
BAS HAATHON PE SHABBIR KE GARDAN KO DIYAA DAAL
NANHAA SAA WOH KURTAA JO HUWAA KHUN MEN SAB LAAL
DIL HOGAYAA HAR SAAHIB-E AWLAAD KAA PAAMAAL

SARWAR NE WAHIN KHOD KAR EK CHHOTI SI TURBAT
AUR KHUN BHARE KAPDE MEN DAFNAAI WOH MAYYAT
KI DAFN YEH KEHKAR AI ZAMEEN HAI YEH AMAANAT
PONHCHAAE NA AADAA KAHIN PHIR ISKO AZIYYAT